MEHAK-SIDDIQUIA

Blogger Widgets

Friday, 3 August 2012





"MEHAK NOOR"








Angraii Le K shauq Se Khol Day Zulfoo'n Ko..!




Meray Siwaa Nahii Hai Koii Aas Paasss tere !


Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi

MEHAK NOOR SIDDIQUIA




Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi !!!
Jeeton To Tujhay Paon Haroon To Piya Teri ♥

Her Lehza Khayal Rakhon Gi Srif Itna!!!
Beth Jaon To Bhi Teri Aur Uth JAon To Bhi Teri ♥



Kuch Kar Loon Haal Apna Aisa Humsafar !!
Aankh Lagay To Bhi Teri Aankh Khulay To Bhi Teri ♥

Teri Har Aahat Pay Paa Loon Gi Tabeer Aisi !!
Hans Jaon To Bhi Teri Rooth Jaon To Bhi Teri ♥

MAy Saath Doon Tera Kuch Aisay JAan-E-jahan ♥
Zinda Rahoon To Bhi Teri Mar Jaon To Bhi Teri..!!!!

(♥●•٠·˙*´¨)
¸. ♥´¸.♥*´¨) ¸.♥*¨) ♥
(¸.♥´ (¸.♥`!˙·¸.♥ —
✿⊱╮✿⊱╮­✿⊱╮✿⊱╮ ✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿ 

                                     Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye





Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye ,

TujhKo Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye ,
TujhKo Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye ,

Tu Chambeli Hy? Nargis Hy K ! Raat Ki Rani ,
TujhKo Chuu Lon To Mere Hath Se Khushbu Aaye

MEHAK'S POETRY

                                                         Maum ki gudia





 dil pe jo beeti kab uski shikayat ki 




ek maum ki gudia ne suraj se mohabbat ki

(♥●•٠·˙*´¨) 
¸. ♥´¸.♥*´¨) ¸.♥*¨) ♥
(¸.♥´ (¸.♥`!˙·¸.♥ —
✿⊱╮✿⊱╮­✿⊱╮✿⊱╮


 ✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿ 

Thursday, 2 August 2012

MEHAK'SPOETRY
youn be Fikri se sonaa, aur ye daawey MoHABBAT k

Bus kro baaba, had hotii hay jhooot ki!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Wednesday, 1 August 2012



                                    Abr-e-bahaar

Abr-e-bahaar ab ke bhii barsaa pare pare
gulshan ujaar ujaar hain, jangal hare hare
Jaane ye tishnagii hai havas hai ke khud’kushii
jalte hain shaam hii se jo saagar bhare bhare
Hai dil kii maut ahd-e-vafaa ki shikastagii
phir bhii jo ko’ii tark-e-muhabbat kare, kare
Ab apna dil bhii shah’r-e-khaamoshaan se kam nahiin
sunn ho gaye hain kaan sadaa par dhare dhare
Rahte hain ahl-e-shah’r ke saaye se duur duur
ham aahwaan-e-dasht ki suurat, dare dare
Gul ban ke phuuttaa hai lahuu shaakh-saar se
zakhm-e-rag-e-bahaar hain patte hare hare
Zindaa-dilaan-e-shah’r ko kyaa ho gayaa “faraz”
aankhen bujhii bujhii hain to chehre mare mare



                                            Mohabbat Rog Hoti Hai









Mohabbat Rog Hoti Hai
Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai
Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai
Kaha Bhi Tha,

Ise TuM Dilki Dharti Ka
Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai
Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke
Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai
Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko,
Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai
Kaha Bhi Tha,

Shuro Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai
Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paaon Tak
Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai
Kaha Bhi Tha…