MEHAK-SIDDIQUIA

Blogger Widgets

Monday 30 July 2012


                                 Lafzo'n K Daant Nahi Hoty, Par Kat'ty Hyn 

MEHAK-NOOR


Lafzo'n K Daant Nahi Hoty, Par Kat'ty Hyn

Aur Kaat Lei'n Tou Phir Un K Zakhm Nahi Bharty

MEHAK NOOR SIDDIQUIA

                                               Meri Be Basi Bhi Ajeeb Ha

Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

 Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai 

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai 


Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai 

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai

Sunday 22 July 2012


MEHAK-NOOR SIDDIQUIA

Bhoolta Kon Hai.......!

Bhoolta Kon Hai.......! Waqt K Gha'oo Ko

Hijar K Tand'o'Tufan Ki Bai'yaqeen Laher Main

Wasaal K Khuwab Ki Dob'tee Naa'oo Ko


Bhoolta Kon Hai.......!

Bhoolta Kon Hai.......!

Apne Qateel K Qateel'Kha'Doo'Khaal Ko

Dukh Utha'te Dinoon Or Maa'hoo'Saal KoBhoolta Kon Hai.......!

Bhoolta Kon Hai.......!

Omeer Ki Shaak Par Kheel'nee Wali Us Aa'wale Shaam Ko
                                Hum Pee Bai'Sabab Jo Laga Hai''Us Elzaam K


                                                         Bhoolta Kon Hai.......!

                                              Phir Tere Naam Ko
                                                                                  Bhoolta Kon Hai.......!

Thursday 19 July 2012

Wo Aam Si Shaam Thi Jab Judaa Howay Thay Hum



wo Aam Si Shaam Thi Jab Judaa Howay Thay Hum


Na Toot Kar Pyaar Kia Na Ro Sakay Thay Hum

Us se Gila Kia Na Zamanay Se Kuch Kaha

  Barbaad Hogaye Bari saadgi Se  Hum..... 


MEHAK NOOR

                                  Ankhoun ki talash 

jb dkho tm koi dard sy labrez ankhoun ko
aur ink kinaro par 2 motiyo ko tikay huein 
phir bhe yeh kisi ghum ki aghosh main muskra rhe ho
NooR
tu smjh jana jana yeh dard ka sehra hmara hi h

Tuesday 17 July 2012

Kar liya safar kitna aur kitna baqi hai

in udaas rahoon per
iss akelay dil ke sath
kar liya safar kitna

or kitna baki hai??
wo jo aik tara sa
duur jhilmilata hai
or duub jata hai
tab akele pan se dil
ye sawal karta hai
jugnouon ki khwahish mein
titliyon ki chahat mein
kar liya safar kitna
aur kitna baqi hai??
MEHAK-NOOR

Abb Mohabbat Ka Aghaz Ho Gaya Hai "NOOR"

Zara TanishQLagta hai k MOHABBAT ka aghaz hogaya hai
Kiun k yeh dil bay-qarar hoo gaya hai 
Har gharee hai tere dedaar ki talab
Abb dil ka yeh haal hoogaya hai
Log kehtay hain k main pagal hoo gaee hon 
Haan sach ! tere piyar main yeh bhi iqrar hogaya hai 
Abb bas main nahin hai dil 
Yeh haal hoogaya hai 
Kiun k mohabbat ka aghaz hogaya hai
Ab to RAB say yeh hi dua hai k bas
Us k dil main bhi meray liye zara si jagah ho 
Us ko bhi bas abb yeh shiddat say ahsaas ho k ABB MOHABBAT KA AGHAZ HOO GAYA HAI 

Saturday 14 July 2012


LOG KEHTE HAIN MUJHE AB B MOHABBAT HAI TUMSE
MGR MAIN KAHON K YE MUMKIN NAHI HAI

YA MAIN US MOHABBAT K KABIL NAHI THI
YA TU IS MOHABBAT K KABIL NAHI HAI

NA MAIN TERI MANZIL NA TU MERI MANZIL
KYA ITNA BATANA HI KAFI NAHI HAI

ISHQ JOORTA HAI IK DIL KO IK DIL SE
DIL TOOTY HAIN PHR B KAHIN KUCH KAMI HAI

PYAR HOTA AGR TO TUMHAIN BANDH SAKTA
JO ROOK NA SKY WO MOHABBAT NAHI HAI



                          Tum mere nahi lekin mere pass rehte ho

hr ghari na'jaany
Q aas pass rehte ho
tum ajeeb mosam ho
bs udaas rehte ho

kuch bharam to rakhna hy
apne dil ki dharkan ka
tum mere nahi lekin
mere pass rehte ho

ek din bicharna tha
janta hon main lekin
tum abi se Q akhir
bad'hawaas rehte ho

hosla nahi mujh ko
tum ko ye bataany ka
jheel jese naina me
misl-e-pyaas rehte ho



usne khawabon me tameer kiya tha ek tajmahal


Ek muddat tak mein uski jarurat bana raha,,
phir yu huwa ki uski jarurat badal gayi,,
chalta raha sath mere wo bahut der tak,,
phir yu huwa ki uski manzil badal gayi,,
woh aksar yeh kehta tha aadat hai tu meri,,
phir yu huwa ki uski aadat badal gayi,,
usne khawabon me tameer kiya tha ek tajmahal,,
phir yu huwa ki uski khawabon ki tameer badal gayi.
                                               Kabi utro yun mary dil ky aangan main
Kabi utro yun mary dil ky aangan main
Ksi udas mosam main
ksi viran lamhay main
chupky say
dbay payun
Mari aankhoon pr rakh do hath
Apny
Aur
Hansty huay kah do
Booj lo to hum tumhary
na boojy to tum humary 

                                                                                          tere shehar ke log



Tujhse milne ki saza denge tere shehar ke log
Ye wafaon ka sila denge tere shehar ke log

Kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi
Mujhko deewaana bana denge ..
.
                      shor se jaag jate hain

MEHAK NOOR
. Log shor se jaag jate hain..... "NOOR"aur... Hamein tumhari khamoshi sone nahi deti' ....

Monday 9 July 2012


Toota Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo Tarpa Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo Kehta Nahi Kisi Say Magar Jantay Hain Hum Roya Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo Phaila K Apnay Gird Tasaweer Aur Khatoot Bikhra Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Woh Raat K Andheron Main Tanhion K Beech Jaga Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo Dehleez Per Puranay Zamano Ka Muntazir Betha Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo Uthtey Qadam Humari Taraf Ruktay Howay Uljha Zaroor Hoga Bicharnay K Bad Wo Her Zakham Ka Ilaaj Maseehaai Main Nahi Samjha Zaror Hoga Bicharnay K Baad Wo

Dear FUTURE Husband


 


I will cook.
I will clean.
I will shop.
I will be the best wife, ever, In sha Allah..
I will dress up for you.
I will maintain my appearance for you.
I will make sure to be the best wife I can be, In sha Allah..
I will have children with you &
I will raise them to be the best they can be.
I will be the best mother, In sha Allah..
All this – as long as you promise me one thing..

Help me, accompany me in getting to Jannah!

Ameen. Absolutely beautiful isn’t it.
I will cook. I will clean. I will shop. I will be the best wife, ever, In sha Allah.. I will dress up for you. I will maintain my appearance for you. I will make sure to be the best wife I can be, In sha Allah.. I will have children with you & I will raise them to be the best they can be. I will be the best mother, In sha Allah.. All this – as long as you promise me one thing.. Help me, accompany me in getting to Jannah! Ameen. Absolutely beautiful isn’t it.

kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa


written by:WASI SHA

kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa
tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath
apani naazuk si kalayee mein chaDhati mujh ko
aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein
tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko
main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata
jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti
tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata
raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
marmari haath kaa ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag kar kai baaten karta
teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta
jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN
apani aankhon ko tere husn se kheraa karta
mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa
main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta
main tere jism ke aangan mein khanakata rahta
kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota
kaash main tere haseen haath kaa kangan hota

Sunday 8 July 2012

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi
Chalo Phr Dhoond Lein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko! Unhi Masoom Khushiyon Ko! Unhi Rangeen Lamhon Ko! Jaha Ghum Ka Pata Na Tha! …Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi! Jahan Bus Muskurahat Thi! Baharein Hi Baharein Thi! Chalo Phr Dhond Laein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko! K Jab Sawan Barasta Tha! To Us Kaghaz Ki Kashti Ko! Bana’na Aur Duba Dena! Boht Acha Sa Lgta Tha! Aur Is Duniya Ka Hr Chehra! Boht Sacha Sa Lagta Tha! Chalo Phir Dhoond Layen Hum Usi Masoom Bachpan Ko