MEHAK-SIDDIQUIA

Blogger Widgets

Sunday 8 July 2012

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi

No comments:

Post a Comment